Jab se tum gai ho
Jab se tum chhod ke gai ho, thoda sa samajhdar thodasa behetar ho gaya hun main...
Thokar kha ke khud ko sambhalte sambhalte sahi mein , Jimmedari jan gaya hun main...
Tumhare pyar mein andha hokar jis rishte ko najarandaaz kiya tha, unka mahatva samajh paya hun main...
Itna bura bhi nehi hai Ped Paudhe , Phool , Pahad, Jharna,Titliyan, Jisko chhodkar tumhen duniya banaliya tha , Uska sundarta ab dekhpa raha hun main...
Achcha hua tum chhod gai mujhe tumhare jane baad khud ko samajh paya hun main...
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें